Presenting you a humble attempt to praise My Master, My principal source of Inspiration who is titled as the Coolness to the Eyes of the Ulama * A Beloved and Accepted Servant of Almighty Allah * The Seal of Great Islamic Research Scholars * A Leader of the Ulama * The Mujaddid of the Century * The Leader among Imams * The Leader among Mystics * The Pride of Pious Predecessors and the Leader of Future Ulama * The Mujaddid of this Ummah * A Judge among Islamic Judges * The Imam among Scholars of Ahadith * The Destroyer of Bid'at and the Upholder of the Sunnah * AlaHadrat ash-Shah Imam Ahmad Rida Khan Alaihir raHmat al-Mannan!! Following are 25 couplets with respect to His URS Date i.e. 25th Safar al-Muzaffar. May the Great Imaam accepts these inferior words in his Superior Court... Aameen!!

 

 


 

 

Saaqi-e-Jaam-e-Muhabbat, Aey Imam-e-AhleSunnat
Maahi-e-Kufr-o-Dalalat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Aashiq-e-Maah-e-Risalat, Aey Imam-e-AhleSunnat
Passban-e-Qadiriyat; Aey Imam-e-AhleSunnat

Aap ki Tehreer mein, Taqreer mein, Tafseer mein
Hain Rawaan Darya-e-Hikmat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Aapki Guftar mein Kirdar mein Afkaar mein
Mojzan hay BaHr-e-Ulfat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Aap ki Zaat-e-Mubarak, Mau'jiza Sarkar ka
Ae Mujaddid, AlaHazrat, Aey Imam-e-AhleSunnat

 

 


Aap Hafiz, Aap Qari, Aap Aalim Ba Amal
Ae Faqeeh-e-Deen-o-Millat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Aap ke Faizan se Shehr-e-Bareilly Ban gaya
Markaz-e-Ahle Muhabbat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Behr-e-Ilm-o-Fann rawan kar de jo ik ik sitr mein
Aur kiski Istita'at, Aey Imam-e-AhleSunnat

Dour-e-Hazir mein wahi, Ulama-e-Haqq kehlatay hain
Jo karain teri Itaa'at, Aey Imam-e-AhleSunnat

AhleSunnat ki Imarat teray Damm se hay kharri
Tu Sutoon-e-Istiqamat, Aey Imam-e-AhleSunnat

 

 


Tera Charcha hay Arab mein, Teri Midhat hay Ajam mein
Shash Jahat Teri Aqeedat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Muztarib hay Qalb aur Aankhein Tarasti hein Raza!
Karnay ko Teri Ziyarat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Ghous-e-Azam ki Niyabat, Khwaja-e-Ajmer ki
Hay Shaha Tujh ko Khilafat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Hamid-o-Noori huay Teri Nigah-e-Faiz se
Sunniyat ki Shaan o Shaukat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Hay Tera Akhtar Raza Teray Karam se Be-Guma(n)
Rahbar-o-Taaj-e-Shari'at, Aey Imam-e-AhleSunnat

 

 


Apnay Piyaron ke Wasilay se Bana de Hum ko bhi
Unka Piyara Unki Soorat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Zikr se teray hon Dil Usshaaq ke Farhan-o-Shaad
Aisi Rounaq, Aisi Nik'hat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Naam Suntay hi Tera, Dil Najdiyon ki Choor hon
Aisi Haybat, Aisi Taaqat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Chaar Daang-e-Dahar mein ye Sunniyon ka wird hay
AlaHazrat AlaHazrat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Gayz mein Jal jaen Be Deenon K Dil, Seenay, Jigar
Sunn k Wird-e-AlaHazrat, Aey Imam-e-AhleSunnat

 

 


Kharijiyat, Rafziyat, Nasbiyat sub se door
Tera Maslak Naaji Khaslat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Be-Adab Gustakh Firqo(n) ke Muqabil Dijiye
Apni Du'a, Apni Himayat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Maslak-e-Ahmad Raza Khan Qadiri Paaindabad
Ahl-e-Haqq ki bass ye Chahat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Akhtar-e-Noori ka hay Irfan-e-Noori par Karam
Hay Sabhi Teri Inayat, Aey Imam-e-AhleSunnat

Fitnon ke iss dour mein, Irfan-e-Noori ko Shaha
Do Panah-o-Istiqamat, Aey Imam-e-AhleSunnat

 



Request: Kindly let me know of any sort of mistakes (if any). You will find me welcoming your constructive criticism and suggestions inshaALLAH.  JazakALLAH Kher and 92nd URS-E-ALAHAZRAT Mubarak!!

--
Regards,

Noori al-Qadiri